main is ke siwa aur kya chahta hun
maiñ is ke sivā aur kyā chāhtā huuñ
tujhe ik nazar dekhnā chāhtā huuñ
vo dard-e-mohabbat ho yā soz-e-furqat
koī ziist kā aasrā chāhtā huuñ
zarā rū-e-raushan se parda haTā do
nizām-e-do-ālam nayā chāhtā huuñ
baḌā lutf thā un kī pahlī nazar meñ
mohabbat kī phir ibtidā chāhtā huuñ
ye maqsad nahīñ hai ki manzūr bhī ho
tujhe ek sajda kiyā chāhtā huuñ
zarā aap haT jā.iye darmiyāñ se
maiñ zor-e-jahāñ dekhnā chāhtā huuñ
samā jā mirī aañkh meñ nuur ban kar
shab-e-ġham ko maiñ jāñchnā chāhtā huuñ
'bahār' un ko kyā apnā maqsad batā.ūñ
yahī baat maiñ jānñā chāhtā huuñ
main is ke siwa aur kya chahta hun
tujhe ek nazar dekhna chahta hun
wo dard-e-mohabbat ho ya soz-e-furqat
koi zist ka aasra chahta hun
zara ru-e-raushan se parda haTa do
nizam-e-do-alam naya chahta hun
baDa lutf tha un ki pahli nazar mein
mohabbat ki phir ibtida chahta hun
ye maqsad nahin hai ki manzur bhi ho
tujhe ek sajda kiya chahta hun
zara aap haT jaiye darmiyan se
main zor-e-jahan dekhna chahta hun
sama ja meri aankh mein nur ban kar
shab-e-gham ko main jaanchna chahta hun
'bahaar' un ko kya apna maqsad bataun
yahi baat main jaanna chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.