main is kirdar ko samjha nahin tha
maiñ is kirdār ko samjhā nahīñ thā
mirā chehra mirā apnā nahīñ thā
tirī yādoñ ke saa.e se guzar thā
maiñ tanhā ho ke bhī tanhā nahīñ thā
nahīñ the aa.ine bhī ā.inoñ se
samundar bhī samundar sā nahīñ thā
shajar par muntazir thī maut us kī
parinda ab magar uḌtā nahīñ thā
ḳhabar thī chaar din kī zindagī hai
to ham ko maut kā khaTkā nahīñ thā
mohabbat kā junūñ thā sar meñ mere
koī mujh jaisā dīvāna nahīñ thā
main is kirdar ko samjha nahin tha
mera chehra mera apna nahin tha
teri yaadon ke sae se guzar tha
main tanha ho ke bhi tanha nahin tha
nahin the aaine bhi aainon se
samundar bhi samundar sa nahin tha
shajar par muntazir thi maut us ki
parinda ab magar uDta nahin tha
KHabar thi chaar din ki zindagi hai
to hum ko maut ka khaTka nahin tha
mohabbat ka junun tha sar mein mere
koi mujh jaisa diwana nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.