main is zamin ki dushwariyan banaunga
main is zamin ki dushwariyan banaunga
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
maiñ is zamīn kī dushvāriyāñ banā.ūñgā
parinde phuul kabhī Tahniyāñ banā.ūñgā
har ek shaḳhs yahāñ dūriyāñ banātā hai
maiñ kuchh alag huuñ maiñ nazdīkiyāñ banā.ūñgā
tumhārī ruuh ko paikar meñ Dhaal dūñgā phir
tumhāre jism kī parchhā.iyāñ banā.ūñgā
tumhārī aañkh kī gahrā.iyāñ banānī haiñ
tumhārī chup se maiñ ḳhāmoshiyāñ banā.ūñgā
sabā kī nāzukī mahsūs kar ke ik muddat
maiñ titliyoñ pe tirī uñgliyāñ banā.ūñgā
tire hī sāmne āñkheñ banā.ūñgā terī
tire hī sāmne hairāniyāñ banā.ūñgā
bhaTakte rahne se mujh ko agar milī fursat
maiñ apne vāste ḳhud beḌiyāñ banā.ūñgā
mujhe hai ilm ki duniyā kī samt jaane par
maiñ bhiiḌ sochūñgā tanhā.iyāñ banā.ūñgā
is ek ḳhvāb ne nīndeñ ujaaḌ diiñ merī
qafas banā.ūñgā maiñ qaiñchiyāñ banā.ūñgā
main is zamin ki dushwariyan banaunga
parinde phul kabhi Tahniyan banaunga
har ek shaKHs yahan duriyan banata hai
main kuchh alag hun main nazdikiyan banaunga
tumhaari ruh ko paikar mein Dhaal dunga phir
tumhaare jism ki parchhaiyan banaunga
tumhaari aankh ki gahraiyan banani hain
tumhaari chup se main KHamoshiyan banaunga
saba ki nazuki mahsus kar ke ek muddat
main titliyon pe teri ungliyan banaunga
tere hi samne aankhen banaunga teri
tere hi samne hairaniyan banaunga
bhaTakte rahne se mujh ko agar mili fursat
main apne waste KHud beDiyan banaunga
mujhe hai ilm ki duniya ki samt jaane par
main bhiD sochunga tanhaiyan banaunga
is ek KHwab ne ninden ujaD din meri
qafas banaunga main qainchiyan banaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.