main ishq kar na sakunga naya hasin laDki
maiñ 'ishq kar na sakūñgā nayā hasīñ laḌkī
hanūz zehn meñ hai sābiqa hasīñ laḌkī
ba-zid na ho ki udāsī tujhe bhī aa legī
tujhe patā hī nahīñ dukh mirā hasīñ laḌkī
taras na khā mirī hālat pe ashk-bār na ho
kahā bhī thā nā tujhe lauT jā hasīñ laḌkī
please baat samajh mujh se ab nahīñ hogā
na kar sakūñgā tirā haq adā hasīñ laḌkī
samajh rahā huuñ tujhe par maiñ chāhtā hī nahīñ
kitāb-e-husn ho dīmak-zada hasīñ laḌkī
'mudassir' us se kaho jā ke us ko samjhā.e
koī na aa.egā us kī jagah hasīñ laḌkī
main 'ishq kar na sakunga naya hasin laDki
hanuz zehn mein hai sabiqa hasin laDki
ba-zid na ho ki udasi tujhe bhi aa legi
tujhe pata hi nahin dukh mera hasin laDki
taras na kha meri haalat pe ashk-bar na ho
kaha bhi tha na tujhe lauT ja hasin laDki
please baat samajh mujh se ab nahin hoga
na kar sakunga tera haq ada hasin laDki
samajh raha hun tujhe par main chahta hi nahin
kitab-e-husn ho dimak-zada hasin laDki
'mudassir' us se kaho ja ke us ko samjhae
koi na aaega us ki jagah hasin laDki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.