main isi soch mein rahta hun kidhar jati hai
maiñ isī soch meñ rahtā huuñ kidhar jaatī hai
terī ḳhushbū jo mujhe chhū ke guzar jaatī hai
ḳhat ke badle unheñ kuchh phuul pahuñch jaate haiñ
merī tahrīr ba-alfāz-e-digar jaatī hai
mujh ko āvāra-nigāhī kā tū ilzām na de
tere dhoke meñ hasīnoñ pe nazar jaatī hai
iztirāb-e-nigah-e-shauq pe aatī hai hañsī
tere hote jo nazar jānib-e-dar jaatī hai
the to ġhusse meñ magar hañs bhī diye haiñ aise
fasl-e-gul jaate hue jaise Thahar jaatī hai
maiñ jise kahne ko bechain huuñ un se 'hādī'
jaane kyoñ dhyān se vo baat utar jaatī hai
main isi soch mein rahta hun kidhar jati hai
teri KHushbu jo mujhe chhu ke guzar jati hai
KHat ke badle unhen kuchh phul pahunch jate hain
meri tahrir ba-alfaz-e-digar jati hai
mujh ko aawara-nigahi ka tu ilzam na de
tere dhoke mein hasinon pe nazar jati hai
iztirab-e-nigah-e-shauq pe aati hai hansi
tere hote jo nazar jaanib-e-dar jati hai
the to ghusse mein magar hans bhi diye hain aise
fasl-e-gul jate hue jaise Thahar jati hai
main jise kahne ko bechain hun un se 'hadi'
jaane kyon dhyan se wo baat utar jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.