main jaanta hun agar maut darmiyan na ho
maiñ jāntā huuñ agar maut darmiyān na ho
ḳhudā ke naam kī kā'be meñ bhī azaan na ho
agar yaqīñ ho ki ab be-nishāñ nahīñ honā
kisī jabīñ pe kisī farz kā nishān na ho
barā.e-ādmī qaa.em hai daftar-e-aflāk
jo vo na ho to sitāroñ kā ḳhāndān na ho
hai āsmān farishtoñ kī sarzamīn agar
to phir zamīn kahīñ un kā āsmān na ho
usī kī zaat pe khultī hai zaat sūraj kī
ki jis kā dhuup ke mahshar meñ sā.ebān na ho
mahal bahisht meñ hone kā kyā ye matlab hai
ki mere shahr meñ merā koī makān na ho
ḳhudā ke munkiro batlāo kyā ye mumkin hai
ki surḳh uuñT hoñ aur un kā sārbān na ho
ye soch kar haiñ pareshān qissa-go 'vāsif'
jo dāstān hai aadam kī dāstān na ho
main jaanta hun agar maut darmiyan na ho
KHuda ke nam ki ka'be mein bhi azan na ho
agar yaqin ho ki ab be-nishan nahin hona
kisi jabin pe kisi farz ka nishan na ho
barae-admi qaem hai daftar-e-aflak
jo wo na ho to sitaron ka KHandan na ho
hai aasman farishton ki sarzamin agar
to phir zamin kahin un ka aasman na ho
usi ki zat pe khulti hai zat suraj ki
ki jis ka dhup ke mahshar mein saeban na ho
mahal bahisht mein hone ka kya ye matlab hai
ki mere shahr mein mera koi makan na ho
KHuda ke munkiro batlao kya ye mumkin hai
ki surKH unT hon aur un ka sarban na ho
ye soch kar hain pareshan qissa-go 'wasif'
jo dastan hai aadam ki dastan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.