Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main jaanta hun kaun hun main aur kya hun main

Abdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi

main jaanta hun kaun hun main aur kya hun main

Abdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi

MORE BYAbdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi

    maiñ jāntā huuñ kaun huuñ maiñ aur kyā huuñ maiñ

    duniyā samajh rahī hai ki ik pārsā huuñ maiñ

    ab mujh meñ aur tujh meñ koī fāsla nahīñ

    merā mudda.ā hai tirā mudda.ā huuñ maiñ

    vaa.iz jabīn-e-shauq jhuke to kahāñ jhuke

    naqsh-e-qadam un ke abhī DhūñDhtā huuñ maiñ

    dil ko tajalliyāt markaz banā liyā

    ab un naam lene ke qābil huā huuñ maiñ

    nāseh tirī nigāh meñ bāda-parast huuñ

    mai-kash samajh rahe haiñ baḌā pārsā huuñ maiñ

    fursat mile kashākash-e-duniyā se to kahūñ

    kis vahm kis gumān meñ uljhā huā huuñ maiñ

    ahl-e-ḳhirad aql pahuñchtī nahīñ jahāñ

    'vasfī' junūñ meñ aisī jagah aa gayā huuñ maiñ

    main jaanta hun kaun hun main aur kya hun main

    duniya samajh rahi hai ki ek parsa hun main

    ab mujh mein aur tujh mein koi fasla nahin

    tu mera muddaa hai tera muddaa hun main

    waiz jabin-e-shauq jhuke to kahan jhuke

    naqsh-e-qadam hi un ke abhi DhunDhta hun main

    dil ko tajalliyat ka markaz bana liya

    ab un ka nam lene ke qabil hua hun main

    naseh teri nigah mein baada-parast hun

    mai-kash samajh rahe hain baDa parsa hun main

    fursat mile kashakash-e-duniya se to kahun

    kis wahm kis guman mein uljha hua hun main

    ahl-e-KHirad ki aql pahunchti nahin jahan

    'wasfi' junun mein aisi jagah aa gaya hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now