main jaanti hun teri zat ki kami hun main
main jaanti hun teri zat ki kami hun main
Nishat Parveen Barsavi
MORE BYNishat Parveen Barsavi
maiñ jāntī huuñ tirī zaat kī kamī huuñ maiñ
tirī nigāhoñ se uljhī huī namī huuñ maiñ
paTaḳh rahī hai mire dar pe raushnī sar ko
ki zulmatoñ kī vafādār ho ga.ī huuñ maiñ
tujhe bulā.e jo vāpas pukāre jo tujh ko
vo ārzūeñ vo āvāz kho chukī huuñ maiñ
jo dard tujh pe guzarnā thā maiñ guzārtī huuñ
jo tere naam kā thā zahr pī ga.ī huuñ maiñ
ye beTiyāñ huā kartī haiñ bel kī tarah
so maañ kī baat pe puurī utar ga.ī huuñ maiñ
ḳhudā ne aisā navāzā hai ne.amatoñ se mujhe
binā paroñ ke havāoñ meñ uḌ rahī huuñ maiñ
main jaanti hun teri zat ki kami hun main
teri nigahon se uljhi hui nami hun main
paTaKH rahi hai mere dar pe raushni sar ko
ki zulmaton ki wafadar ho gai hun main
tujhe bulae jo wapas pukare jo tujh ko
wo aarzuen wo aawaz kho chuki hun main
jo dard tujh pe guzarna tha main guzarti hun
jo tere nam ka tha zahr pi gai hun main
ye beTiyan hua karti hain bel ki tarah
so man ki baat pe puri utar gai hun main
KHuda ne aisa nawaza hai neamaton se mujhe
bina paron ke hawaon mein uD rahi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.