main jab bhi chand ko pakDun sitara chhuT jata hai
maiñ jab bhī chāñd ko pakḌūñ sitārā chhūT jaatā hai
kabhī hoñToñ tak aa kar bhī nivāla chhūT jaatā hai
maiñ apnī yaad kī saarī darāzeñ khol detā huuñ
kabhī ḳhat bhī nikaltā hai lifāfa chhūT jaatā hai
tumheñ manzil milī hai aur mujh ko jiit hai hāsil
magar merī tumhārī meñ hamārā chhūT jaatā hai
mujhe yuuñ bhūlne ke vāste hī yaad vo kar le
kisī chhāyā ke jānib bhī ujālā chhūT jaatā hai
maiñ thak kar chuur huuñ ai zindagī tere talātum se
kabhī dariyā ko piitā huuñ dayārā chhūT jaatā hai
ye sāñsoñ kā salīqa bhī maiñ aksar bhuul jaatā huuñ
maiñ pakḌūñ haath rah rah kar tumhārā chhūT jaatā hai
main jab bhi chand ko pakDun sitara chhuT jata hai
kabhi honTon tak aa kar bhi niwala chhuT jata hai
main apni yaad ki sari daraazen khol deta hun
kabhi KHat bhi nikalta hai lifafa chhuT jata hai
tumhein manzil mili hai aur mujh ko jit hai hasil
magar meri tumhaari mein hamara chhuT jata hai
mujhe yun bhulne ke waste hi yaad wo kar le
kisi chhaya ke jaanib bhi ujala chhuT jata hai
main thak kar chur hun ai zindagi tere talatum se
kabhi dariya ko pita hun dayara chhuT jata hai
ye sanson ka saliqa bhi main aksar bhul jata hun
main pakDun hath rah rah kar tumhaara chhuT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.