main jab bhi chhune lagun tum zara pare ho jao
maiñ jab bhī chhūne lagūñ tum zarā pare ho jaao
ye kyā ki lams meñ aate hī dūsre ho jaao
ye kār-e-ishq magar ham se kaise sarzad ho
alaav tez hai sāhab zarā pare ho jaao
tumhārī umr bhī us aab ke hisāb meñ hai
nahīñ ki us ke barasne se tum hare ho jaao
ye gosha-gīr tabī.at bhī ek mahbas hai
havā ke lams meñ aao hare-bhare ho jaao
kabhī to matl.a-e-dil se ho itnī bārish-e-ashk
ki tum bhī khul ke baraste hue khare ho jaao
main jab bhi chhune lagun tum zara pare ho jao
ye kya ki lams mein aate hi dusre ho jao
ye kar-e-ishq magar hum se kaise sarzad ho
alaw tez hai sahab zara pare ho jao
tumhaari umr bhi us aab ke hisab mein hai
nahin ki us ke barasne se tum hare ho jao
ye gosha-gir tabiat bhi ek mahbas hai
hawa ke lams mein aao hare-bhare ho jao
kabhi to matla-e-dil se ho itni barish-e-ashk
ki tum bhi khul ke baraste hue khare ho jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.