main jab KHud se bahar nikla
maiñ jab ḳhud se bāhar niklā
kyā kyā mere andar niklā
barsoñ jis ko bāhar DhūñDā
āḳhir apne andar niklā
man meñ kā'ba man meñ kāshī
man meñ hī girja-ghar niklā
man hī kāran sab rogoñ kā
man hī ḳhud chārāgar niklā
tan kī jab asliyyat jaanī
man se marne kā Dar niklā
jag se jiite man se haare
man sab se tāqat-var niklā
mujhe lagā koī ġhunDā hogā
vo to ek minister niklā
ham ne samjhā buuñd barābar
tū to 'sadā' samandar niklā
main jab KHud se bahar nikla
kya kya mere andar nikla
barson jis ko bahar DhunDa
aaKHir apne andar nikla
man mein ka'ba man mein kashi
man mein hi girja-ghar nikla
man hi karan sab rogon ka
man hi KHud chaaragar nikla
tan ki jab asliyyat jaani
man se marne ka Dar nikla
jag se jite man se haare
man sab se taqat-war nikla
mujhe laga koi ghunDa hoga
wo to ek minister nikla
hum ne samjha bund barabar
tu to 'sada' samandar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.