main jabr-e-shauq mein kya kaghazon pe likhta raha
maiñ jabr-e-shauq meñ kyā kāġhazoñ pe likhtā rahā
tirī galī kī havā kāġhazoñ pe likhtā rahā
tire jamāl kī kirneñ tire ḳhayāl kī lau
maiñ raushnī kā pata kāġhazoñ pe likhtā rahā
husūl-e-rizq bhī lāzim thā aur mohabbat bhī
maiñ nān-e-shab kā gadā kāġhazoñ pe likhtā rahā
ridā-e-ishq jise bhī atā huī tujh se
faqīr ban ke tirā kāġhazoñ pe likhtā rahā
tire firāq kā sūraj mujhe jalātā rahā
maiñ sher kahtā rahā kāġhazoñ pe likhtā rahā
mire laboñ se kabhī aah tak nahīñ niklī
bas apnā karb-o-balā kāġhazoñ pe likhtā rahā
shu.ūr-e-zāt kā irfān pā liyā jis ne
vo misl-e-sham.a jalā kāġhazoñ pe likhtā rahā
na jaane kitnī duā.eñ hī maiñ ne māñgīñ aur
jo māñgnī thī duā kāġhazoñ pe likhtā rahā
yahī zamāna mujhe kal kahegā shā.ir sā
na jaane kaun thā kyā kāġhazoñ pe likhtā rahā
tamām raat hī āñkhoñ meñ kaT ga.ī 'tāriq'
maiñ apnī maañ kī duā kāġhazoñ pe likhtā rahā
main jabr-e-shauq mein kya kaghazon pe likhta raha
teri gali ki hawa kaghazon pe likhta raha
tere jamal ki kirnen tere KHayal ki lau
main raushni ka pata kaghazon pe likhta raha
husul-e-rizq bhi lazim tha aur mohabbat bhi
main nan-e-shab ka gada kaghazon pe likhta raha
rida-e-ishq jise bhi ata hui tujh se
faqir ban ke tera kaghazon pe likhta raha
tere firaq ka suraj mujhe jalata raha
main sher kahta raha kaghazon pe likhta raha
mere labon se kabhi aah tak nahin nikli
bas apna karb-o-bala kaghazon pe likhta raha
shuur-e-zat ka irfan pa liya jis ne
wo misl-e-shama jala kaghazon pe likhta raha
na jaane kitni duaen hi main ne mangin aur
jo mangni thi dua kaghazon pe likhta raha
yahi zamana mujhe kal kahega shair sa
na jaane kaun tha kya kaghazon pe likhta raha
tamam raat hi aankhon mein kaT gai 'tariq'
main apni man ki dua kaghazon pe likhta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.