main jahan hun wahin hai ghar mera
maiñ jahāñ huuñ vahīñ hai ghar merā
kitnā āsān hai safar merā
phal lage dost ban ga.e dushman
merā dushman banā shajar merā
tum ko patthar meñ Dhaal saktā huuñ
tum ne dekhā nahīñ hunar merā
merā rahzan thā merā qātil thā
merā ham-sāya ham-safar merā
shīsh-mahloñ meñ zalzale aa.e
aur salāmat hai ḳhasta ghar merā
maiñ huuñ ḳhāna-ba-dosh ai 'kishvar''
ye ta.āruf hai muḳhtasar merā
main jahan hun wahin hai ghar mera
kitna aasan hai safar mera
phal lage dost ban gae dushman
mera dushman bana shajar mera
tum ko patthar mein Dhaal sakta hun
tum ne dekha nahin hunar mera
mera rahzan tha mera qatil tha
mera ham-saya ham-safar mera
shish-mahlon mein zalzale aae
aur salamat hai KHasta ghar mera
main hun KHana-ba-dosh ai 'kishwar
ye taaruf hai muKHtasar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.