main jahan tha wahin rah gaya mazarat
maiñ jahāñ thā vahīñ rah gayā ma.azarat
ai zamīñ ma.azarat ai ḳhudā ma.azarat
kuchh batāte hue kuchh chhupāte hue
maiñ hañsā ma.azarat ro diyā ma.azarat
ḳhud tumhārī jagah jā ke dekhā hai aur
ḳhud se kī hai tumhārī jagah ma.azarat
jo huā jaane kaise huā kyā ḳhabar
jo kiyā vo nahīñ ho sakā ma.azarat
maiñ ki ḳhud ko bachāne kī koshish meñ thā
ek din maiñ ne ḳhud se kahā ma.azarat
mujh se girya mukammal nahīñ ho sakā
maiñ ne dīvār par likh diyā ma.azarat
maiñ bahut duur huuñ shaam nazdīk hai
shaam ko do sadā shukriya ma.azarat
main jahan tha wahin rah gaya mazarat
ai zamin mazarat ai KHuda mazarat
kuchh batate hue kuchh chhupate hue
main hansa mazarat ro diya mazarat
KHud tumhaari jagah ja ke dekha hai aur
KHud se ki hai tumhaari jagah mazarat
jo hua jaane kaise hua kya KHabar
jo kiya wo nahin ho saka mazarat
main ki KHud ko bachane ki koshish mein tha
ek din main ne KHud se kaha mazarat
mujh se girya mukammal nahin ho saka
main ne diwar par likh diya mazarat
main bahut dur hun sham nazdik hai
sham ko do sada shukriya mazarat
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 20.05.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.