main jis ki khoj mein sadiyon se ghar nahin aaya
maiñ jis kī khoj meñ sadiyoñ se ghar nahīñ aaya
mirā vajūd usī ko nazar nahīñ aaya
vo baar baar isī rāste se guzrā hai
ye aur baat kabhī mere ghar nahīñ aaya
maiñ jis kī chhāñv meñ kuchh der ruk ke sustā luuñ
rah-e-hayāt meñ aisā shajar nahīñ aaya
ye ittifāq hai jis ne milā diyā varna
maiñ is taraf tirī āvāz par nahīñ aaya
ye kaisī rāh-e-vafā jis meñ na ilzām na sang
koī azaab abhī mere sar nahīñ aaya
davā kī shakl abhī dard se nahīñ miltī
abhī shabāb pe zaḳhm-e-jigar nahīñ aaya
ye kaisī raat hai yā-rab ki ek muddat se
nazar ke sāmne vaqt-e-sahar nahīñ aaya
tamām raat sitāre bujhe bujhe se rahe
magar ghaTā se nikal kar qamar nahīñ aaya
'shakīl' dekh to jā ke kyoñ us kī jānib se
bahut dinoñ se koī nāma-bar nahīñ aaya
main jis ki khoj mein sadiyon se ghar nahin aaya
mera wajud usi ko nazar nahin aaya
wo bar bar isi raste se guzra hai
ye aur baat kabhi mere ghar nahin aaya
main jis ki chhanw mein kuchh der ruk ke susta lun
rah-e-hayat mein aisa shajar nahin aaya
ye ittifaq hai jis ne mila diya warna
main is taraf teri aawaz par nahin aaya
ye kaisi rah-e-wafa jis mein na ilzam na sang
koi azab abhi mere sar nahin aaya
dawa ki shakl abhi dard se nahin milti
abhi shabab pe zaKHm-e-jigar nahin aaya
ye kaisi raat hai ya-rab ki ek muddat se
nazar ke samne waqt-e-sahar nahin aaya
tamam raat sitare bujhe bujhe se rahe
magar ghaTa se nikal kar qamar nahin aaya
'shakil' dekh to ja ke kyon us ki jaanib se
bahut dinon se koi nama-bar nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.