main jis se bhi ek lamhe ko mansub raha hun
maiñ jis se bhī ik lamhe ko mansūb rahā huuñ
ye sach hai har us shaḳhs kā mahbūb rahā huuñ
ik daur thā mujh par bhī bahut log fidā the
ik daur meñ maiñ ḳhuub bahut ḳhuub rahā huuñ
mujh ko bhī mayassar thī faqīrī kī ye daulat
ik 'arse talak yaar maiñ majzūb rahā huuñ
jin logoñ se milnā hī mire bas meñ nahīñ thā
kuchh aise hī logoñ kā maiñ matlūb rahā huuñ
dariyā ke talātum se jo laayā thā bachā kar
ab us kī 'ināyat se hī maiñ Duub rahā huuñ
kuchh aur nayā ho to dikhā de mujhe varna
duniyā tirī raunaq se maiñ ab uub rahā huuñ
ye zindagī ġhurbat meñ guzārī hai ai 'ashraf'
tā-umr magar sāhib-e-uslūb rahā huuñ
main jis se bhi ek lamhe ko mansub raha hun
ye sach hai har us shaKHs ka mahbub raha hun
ek daur tha mujh par bhi bahut log fida the
ek daur mein main KHub bahut KHub raha hun
mujh ko bhi mayassar thi faqiri ki ye daulat
ek 'arse talak yar main majzub raha hun
jin logon se milna hi mere bas mein nahin tha
kuchh aise hi logon ka main matlub raha hun
dariya ke talatum se jo laya tha bacha kar
ab us ki 'inayat se hi main Dub raha hun
kuchh aur naya ho to dikha de mujhe warna
duniya teri raunaq se main ab ub raha hun
ye zindagi ghurbat mein guzari hai ai 'ashraf'
ta-umr magar sahib-e-uslub raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.