Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main jis se kabhi nahin mila hun

Shaayar Lakhnavi

main jis se kabhi nahin mila hun

Shaayar Lakhnavi

MORE BYShaayar Lakhnavi

    maiñ jis se kabhī nahīñ milā huuñ

    ik umr se us ko jāntā huuñ

    gul bhī haiñ mujhe aziiz lekin

    kāñToñ ke liye barahna-pā huuñ

    ik zaḳhm huuñ aur sūrat-e-gul

    apne vajūd meñ khilā huuñ

    chāhat bhī agar hai jurm koī

    achchhā to maiñ tum ko chāhtā huuñ

    zaḳhmoñ ko hurūf meñ badal kar

    tārīḳh-e-bahār likh rahā huuñ

    kis kis hadaf nahīñ mirī zaat

    achchhā huuñ to aur bhī burā huuñ

    saa.e ko ḳhabar nahīñ hai 'shā.ir'

    maiñ der se dhuup meñ khaḌā huuñ

    main jis se kabhi nahin mila hun

    ek umr se us ko jaanta hun

    gul bhi hain mujhe aziz lekin

    kanTon ke liye barahna-pa hun

    ek zaKHm hun aur surat-e-gul

    apne hi wajud mein khila hun

    chahat bhi agar hai jurm koi

    achchha to main tum ko chahta hun

    zaKHmon ko huruf mein badal kar

    tariKH-e-bahaar likh raha hun

    kis kis ka hadaf nahin meri zat

    achchha hun to aur bhi bura hun

    sae ko KHabar nahin hai 'shair'

    main der se dhup mein khaDa hun

    Source :
    • Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 179)
    • Author : فرحت احساس
    • Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now