main jo duniya ki kahani mein na khoya hota
maiñ jo duniyā kī kahānī meñ na khoyā hotā
mere ḳhāme ne musalsal mujhe likkhā hotā
mas.ala saḳht sahī aur na uljhā hotā
vaqt ne bhī jo mire zehn se sochā hotā
us ne pyārā sā koī ḳhat mujhe likkhā hotā
kaash kuchh din ke liye mujh se vo bichhḌā hotā
niiñd āñkhoñ se na uḌ jaatī to achchhā hotā
kam se kam ḳhvāb meñ us shoḳh ko dekhā hotā
terī yādoñ ne kisī raat ye mohlat hī na dī
ki maiñ do-chār ghaḌī ko bhī akelā hotā
itnā nāzuk thā ki chhū lete agar ham us ko
vo bhī shīshe kī tarah farsh pe bikhrā hotā
kāTte 'umr tire aane kī ummīd meñ ham
tere raste meñ agar vaqt bhī Thahrā hotā
kyā burā hai jo girāyā hai havāoñ ne use
zard pattā thā kisī roz to TuuTā hotā
kitnī be-sūd thī ye chup ki mirī bātoñ ko
sun bhī letā to koī shaḳhs na samjhā hotā
koī sikka to nahīñ the ki na milte 'ḳhāvar'
kho ga.e the to kisī ne hameñ DhūñDā hotā
main jo duniya ki kahani mein na khoya hota
mere KHame ne musalsal mujhe likkha hota
masala saKHt sahi aur na uljha hota
waqt ne bhi jo mere zehn se socha hota
us ne pyara sa koi KHat mujhe likkha hota
kash kuchh din ke liye mujh se wo bichhDa hota
nind aankhon se na uD jati to achchha hota
kam se kam KHwab mein us shoKH ko dekha hota
teri yaadon ne kisi raat ye mohlat hi na di
ki main do-chaar ghaDi ko bhi akela hota
itna nazuk tha ki chhu lete agar hum us ko
wo bhi shishe ki tarah farsh pe bikhra hota
kaTte 'umr tere aane ki ummid mein hum
tere raste mein agar waqt bhi Thahra hota
kya bura hai jo giraya hai hawaon ne use
zard patta tha kisi roz to TuTa hota
kitni be-sud thi ye chup ki meri baaton ko
sun bhi leta to koi shaKHs na samjha hota
koi sikka to nahin the ki na milte 'KHawar'
kho gae the to kisi ne hamein DhunDa hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.