main jo hasil tere kuche ki gadai karta
maiñ jo hāsil tire kūche kī gadā.ī kartā
bandagī kahte haiñ kis shai ko ḳhudā.ī kartā
zarre zarre ko tire kūche meñ thā mujh se ġhubār
maiñ jo kartā bhī to kis kis se safā.ī kartā
mo.atakif jo tire kūche ke the uThte na kabhī
ka.aba ḳhud aa ke agar nāsiya-sā.ī kartā
soch nāhaq hai asīrān-e-qafas ke dil ko
kyā paḌī thī jo koī fikr-e-rihā.ī kartā
kāñpte hāthoñ se khultā na qafas ai sayyād
kaash manzūr bhī tū merī rihā.ī kartā
'shād' dushman kī shikāyat kā vazīfa be-kār
kyā ġharaz thī ki mire saath bhalā.ī kartā
main jo hasil tere kuche ki gadai karta
bandagi kahte hain kis shai ko KHudai karta
zarre zarre ko tere kuche mein tha mujh se ghubar
main jo karta bhi to kis kis se safai karta
moatakif jo tere kuche ke the uThte na kabhi
kaba KHud aa ke agar nasiya-sai karta
soch nahaq hai asiran-e-qafas ke dil ko
kya paDi thi jo koi fikr-e-rihai karta
kanpte hathon se khulta na qafas ai sayyaad
kash manzur bhi tu meri rihai karta
'shad' dushman ki shikayat ka wazifa be-kar
kya gharaz thi ki mere sath bhalai karta
- Book : Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 151)
- Author : Shad Azimabadi
- Publication : Educational Publishing House (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.