main jo hun mast-e-KHarabaat tumhein is se kya
maiñ jo huuñ mast-e-ḳharābāt tumheñ is se kyā
mere dil kī haiñ hikāyāt tumheñ is se kyā
tum to ho mast-e-mai-o-aish-o-tarab tum jaano
maiñ asīr-e-ġham-e-āfāt tumheñ is se kyā
pāk-bāzī meñ tumhārā hai ye tar-dāman ḳhuub
maiñ kahūñ apnī hikāyāt tumheñ is se kyā
jabr hai kaam tumhārā karo jitnā chāho
merī apnī haiñ shikāyāt tumheñ is se kyā
tum shab-e-tīra meñ hote ho asīr-e-zulmat
mere raushan haiñ ḳhurāfāt tumheñ is se kyā
siina patthar hai tumhārā to haiñ āñkheñ jhūTī
maiñ mujassam jo huuñ jazbāt tumheñ is se kyā
main jo hun mast-e-KHarabaat tumhein is se kya
mere dil ki hain hikayat tumhein is se kya
tum to ho mast-e-mai-o-aish-o-tarab tum jaano
main asir-e-gham-e-afat tumhein is se kya
pak-bazi mein tumhaara hai ye tar-daman KHub
main kahun apni hikayat tumhein is se kya
jabr hai kaam tumhaara karo jitna chaho
meri apni hain shikayat tumhein is se kya
tum shab-e-tira mein hote ho asir-e-zulmat
mere raushan hain KHurafat tumhein is se kya
sina patthar hai tumhaara to hain aankhen jhuTi
main mujassam jo hun jazbaat tumhein is se kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.