main jo rakhta tha kitabon pe bharam TuT gae
maiñ jo rakhtā thā kitāboñ pe bharam TuuT ga.e
dāstāñ chīḳh uThī aur qalam TuuT ga.e
aa.ina aa.ine ke sāmne TuuTā to mujhe
aisā lagtā thā ki donoñ hī baham TuuT ga.e
un charāġhoñ ko jalāne kī tamanna hai mujhe
jin charāġhoñ pe havāoñ ke sitam TuuT ga.e
fāsla tuul pakaḌte hī shajar girne lage
rāsta dil kā ukhaḌte hī qadam TuuT ga.e
raushnī ā.ina-ḳhāne meñ thī qaidī kī tarah
gardisheñ khātī huiiñ kirnoñ ke dam TuuT ga.e
dil kā pahlū meñ abhī TūTnā baaqī thā 'ḳhalīl'
hausla ham se na ho paayā to ham TuuT ga.e
main jo rakhta tha kitabon pe bharam TuT gae
dastan chiKH uThi aur qalam TuT gae
aaina aaine ke samne TuTa to mujhe
aisa lagta tha ki donon hi baham TuT gae
un charaghon ko jalane ki tamanna hai mujhe
jin charaghon pe hawaon ke sitam TuT gae
fasla tul pakaDte hi shajar girne lage
rasta dil ka ukhaDte hi qadam TuT gae
raushni aaina-KHane mein thi qaidi ki tarah
gardishen khati huin kirnon ke dam TuT gae
dil ka pahlu mein abhi TuTna baqi tha 'KHalil'
hausla hum se na ho paya to hum TuT gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.