main kab se dar-ba-dar hun mujhko dar dikha
maiñ kab se dar-ba-dar huuñ mujh ko dar dikhā
bahut huā to āḳhir-e-safar dikhā
sunā hai chuum lo to zaḳhm bharte haiñ
hai dil pe zaḳhm mere chuum kar dikhā
jise lihāz kah ke bāñdhtā hai tū
mujhe to us nazar meñ mahz Dar dikhā
yuuñ duur duur se tasallī to na de
gale lagā le bāhoñ kā asar dikhā
bahaknā merā tere haath meñ hai ab
jo mai na ho nigāh kā hunar dikhā
main kab se dar-ba-dar hun mujh ko dar dikha
bahut hua to aaKHir-e-safar dikha
suna hai chum lo to zaKHm bharte hain
hai dil pe zaKHm mere chum kar dikha
jise lihaz kah ke bandhta hai tu
mujhe to us nazar mein mahz Dar dikha
yun dur dur se tasalli to na de
gale laga le bahon ka asar dikha
bahakna mera tere hath mein hai ab
jo mai na ho nigah ka hunar dikha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.