main kab se puchh raha hun sharab hai ki nahin
main kab se puchh raha hun sharab hai ki nahin
Waheeduddin Ahmad Waheed
MORE BYWaheeduddin Ahmad Waheed
maiñ kab se pūchh rahā huuñ sharāb hai ki nahīñ
kuchh is savāl kā saaqī javāb hai ki nahīñ
ye choT jis ke na dil par lagī ho kyā jaane
firāq-e-yār meñ jiinā azaab hai ki nahīñ
jo hāl-e-dil hai vo chehre se kyā nahīñ zāhir
tumhīñ batāo mujhe iztirāb hai ki nahīñ
jo uzr bāda-kashī ke hai vaqt kā saaqī
ye āsmān pe kyā hai sahāb hai ki nahīñ
naqāb ruḳh se na ulTo abhī ye dekh to lo
nazar ko dekhne vāloñ kī taab hai ki nahīñ
main kab se puchh raha hun sharab hai ki nahin
kuchh is sawal ka saqi jawab hai ki nahin
ye choT jis ke na dil par lagi ho kya jaane
firaq-e-yar mein jina azab hai ki nahin
jo haal-e-dil hai wo chehre se kya nahin zahir
tumhin batao mujhe iztirab hai ki nahin
jo uzr baada-kashi ke hai waqt ka saqi
ye aasman pe kya hai sahab hai ki nahin
naqab ruKH se na ulTo abhi ye dekh to lo
nazar ko dekhne walon ki tab hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.