main kabhi makan se guzar gaya kabhi la-makan se guzar gaya
maiñ kabhī makāñ se guzar gayā kabhī lā-makāñ se guzar gayā
tire shauq meñ tujhe kyā ḳhabar maiñ kahāñ kahāñ se guzar gayā
haiñ qadam qadam pe vahāñ vahāñ mirī justujū kī kahāniyāñ
tire sañg-e-dar kī talāsh meñ maiñ jahāñ jahāñ se guzar gayā
maiñ gunāhgār-e-vafā huuñ vo jo talāsh-e-yār ke josh meñ
jahāñ pesh aa.iiñ musībateñ ba-ḳhushī vahāñ se guzar gayā
koī be-ḳhudī sī hai be-ḳhudī mujhe ye bhī hosh nahīñ rahā
tirā dard dil meñ liye maiñ kab tire āstāñ se guzar gayā
mirī rāh-e-farz pe ham-nashīñ kahīñ husn thā kahīñ ishq thā
maiñ ba-fazl-e-mālik-e-do-jahāñ yūñhī darmiyāñ se guzar gayā
kise DhūñDhtī hai nazar tirī yahāñ koī ahl-e-gunah nahīñ
vahī ik 'naresh' thā ai ḳhudā jo tire jahāñ se guzar gayā
main kabhi makan se guzar gaya kabhi la-makan se guzar gaya
tere shauq mein tujhe kya KHabar main kahan kahan se guzar gaya
hain qadam qadam pe wahan wahan meri justuju ki kahaniyan
tere sang-e-dar ki talash mein main jahan jahan se guzar gaya
main gunahgar-e-wafa hun wo jo talash-e-yar ke josh mein
jahan pesh aain musibaten ba-KHushi wahan se guzar gaya
koi be-KHudi si hai be-KHudi mujhe ye bhi hosh nahin raha
tera dard dil mein liye main kab tere aastan se guzar gaya
meri rah-e-farz pe ham-nashin kahin husn tha kahin ishq tha
main ba-fazl-e-malik-e-do-jahan yunhi darmiyan se guzar gaya
kise DhunDhti hai nazar teri yahan koi ahl-e-gunah nahin
wahi ek 'naresh' tha ai KHuda jo tere jahan se guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.