main kabhi tere barabar nahin ho sakta dost
maiñ kabhī tere barābar nahīñ ho saktā dost
maiñ to miTTī huuñ so patthar nahīñ ho saktā dost
maiñ tirī aañkh kā aañsū to ho saktā huuñ magar
maiñ tirī aañkh kā kankar nahīñ ho saktā dost
merī tāsīr alag hai tirī tāsīr alag
maiñ kabhī tujh sā sitamgar nahīñ ho saktā dost
kitnoñ ne pyaas bujhā.ī hai ravānī meñ mirī
chaah kar bhī maiñ samundar nahīñ ho saktā dost
maiñ ziyāda se ziyāda tirā ho bhī jā.ūñ
tū magar mujh ko mayassar nahīñ ho saktā dost
vo samajhtā hai ġhalat mujh ko har ik baat pe par
ye yaqīñ hai vo sitamgar nahīñ ho saktā dost
ḳhud ko ḳhud meñ hī chhupā.e hue phirtā huuñ yahāñ
jitnā andar huuñ maiñ bāhar nahīñ ho saktā dost
main kabhi tere barabar nahin ho sakta dost
main to miTTi hun so patthar nahin ho sakta dost
main teri aankh ka aansu to ho sakta hun magar
main teri aankh ka kankar nahin ho sakta dost
meri tasir alag hai teri tasir alag
main kabhi tujh sa sitamgar nahin ho sakta dost
kitnon ne pyas bujhai hai rawani mein meri
chah kar bhi main samundar nahin ho sakta dost
main ziyaada se ziyaada tera ho bhi jaun
tu magar mujh ko mayassar nahin ho sakta dost
wo samajhta hai ghalat mujh ko har ek baat pe par
ye yaqin hai wo sitamgar nahin ho sakta dost
KHud ko KHud mein hi chhupae hue phirta hun yahan
jitna andar hun main bahar nahin ho sakta dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.