main kah raha hun sab ko dobara karaKHt hai
maiñ kah rahā huuñ sab ko dobāra karaḳht hai
us ne kiyā hai jo vo ishāra karaḳht hai
ye toḌne lagā hai mujhe bhī darūn-e-ishq
ḳhvāhish kā jaltā bujhtā sitāra karaḳht hai
ik roz toḌ degā tujhe hijr yaad rakh
ye sang yaar saare kā saarā karaḳht hai
sachchā.ī ke mizāj se vo āshnā nahīñ
us ko lagā hai lahja hamārā karaḳht hai
kahtā huuñ maiñ durust mirī baat maan le
dariyā nahīñ hai dost kināra karaḳht hai
'mannān' ne to raa.e abhī dī nahīñ janāb
ye aag kah rahī hai sharāra karaḳht hai
main kah raha hun sab ko dobara karaKHt hai
us ne kiya hai jo wo ishaara karaKHt hai
ye toDne laga hai mujhe bhi darun-e-ishq
KHwahish ka jalta bujhta sitara karaKHt hai
ek roz toD dega tujhe hijr yaad rakh
ye sang yar sare ka sara karaKHt hai
sachchai ke mizaj se wo aashna nahin
us ko laga hai lahja hamara karaKHt hai
kahta hun main durust meri baat man le
dariya nahin hai dost kinara karaKHt hai
'mannan' ne to rae abhi di nahin janab
ye aag kah rahi hai sharara karaKHt hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.