main kah raha hun sar-e-am barmala baba
maiñ kah rahā huuñ sar-e-ām barmalā baabā
gumān hai bhare mele meñ kho gayā baabā
kaḌī hai dhuup tamāzat se paañv jalte haiñ
jo sā.ebān saroñ par thā kyā huā baabā
zarā sī baat pe āñkheñ barasne lagtī haiñ
kahāñ se DhūñD ke lā.ūñgā hausla baabā
tumhāre ba.ad to lamhe nahīñ guzarte haiñ
abhī to umr kā baaqī hai marhala baabā
bas ek umr bachchī hai tumhārī yaad liye
ab apne paas bachā bhī hai aur kyā baabā
rukī jo saañs tumhārī badal ga.ī duniyā
kahāñ vo rabt kisī se jo pahle thā baabā
maiñ tiin pahar se baiThā huā huuñ qabr ke paas
ab apne karb sameTo ki maiñ chalā baabā
agar satāyā zamāne ne zahr khā lūñgā
tumhārā beTā hai 'ashraf' bhī sar-phirā baabā
main kah raha hun sar-e-am barmala baba
guman hai bhare mele mein kho gaya baba
kaDi hai dhup tamazat se panw jalte hain
jo saeban saron par tha kya hua baba
zara si baat pe aankhen barasne lagti hain
kahan se DhunD ke launga hausla baba
tumhaare baad to lamhe nahin guzarte hain
abhi to umr ka baqi hai marhala baba
bas ek umr bachchi hai tumhaari yaad liye
ab apne pas bacha bhi hai aur kya baba
ruki jo sans tumhaari badal gai duniya
kahan wo rabt kisi se jo pahle tha baba
main tin pahar se baiTha hua hun qabr ke pas
ab apne karb sameTo ki main chala baba
agar sataya zamane ne zahr kha lunga
tumhaara beTa hai 'ashraf' bhi sar-phira baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.