main kahan DhunDne jata hun kutub-KHanon mein
maiñ kahāñ DhūñDne jaatā huuñ kutub-ḳhānoñ meñ
mujh ko ḳhud aa ke bulā.eñ mire alfāz ki aa
maiñ abhī soch ke sahrā meñ khaḌā hotā huuñ
aa hī jaatī hai kisī samt se āvāz ki aa
pair chalne ke liye jūñhī qadam bharte haiñ
bajne lag jaate haiñ ḳhud se ka.ī sur saaz ki aa
maiñ ki har had se guzarne ko huuñ tayyār magar
kaun kahtā hai mujhe koī ba-sad-nāz ki aa
haa.e vo lamha ki jab baap bulā.e beTā
aa idhar aa mire beTe mire jāñ-bāz ki aa
ye alag baat ki ustād nahīñ hai 'hasrat'
she'r-goī meñ bulā.eñ sabhī ustāz ki aa
main kahan DhunDne jata hun kutub-KHanon mein
mujh ko KHud aa ke bulaen mere alfaz ki aa
main abhi soch ke sahra mein khaDa hota hun
aa hi jati hai kisi samt se aawaz ki aa
pair chalne ke liye junhi qadam bharte hain
bajne lag jate hain KHud se kai sur saz ki aa
main ki har had se guzarne ko hun tayyar magar
kaun kahta hai mujhe koi ba-sad-naz ki aa
hae wo lamha ki jab bap bulae beTa
aa idhar aa mere beTe mere jaan-baz ki aa
ye alag baat ki ustad nahin hai 'hasrat'
she'r-goi mein bulaen sabhi ustaz ki aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.