main kahun kya unhen yaqin hi nahin
main kahun kya unhen yaqin hi nahin
Faheemuddin Ahmad Faheem
MORE BYFaheemuddin Ahmad Faheem
maiñ kahūñ kyā unheñ yaqīñ hī nahīñ
vo kahe jaate haiñ nahīñ hī nahīñ
yā koī āshiq is jahāñ meñ nahīñ
yā koī aap sā hasīñ hī nahīñ
aap be-mehr bhī haiñ zālim bhī
mujh se suniye faqat hasīñ hī nahīñ
dekhegā jā.egā jo jannat meñ
aish zāhid hameñ yahīñ hī nahīñ
jis pe kanda ho naqsh ulfat kā
dil se behtar koī nagīñ hī nahīñ
aur kuchh kahiye is samajh pe unheñ
shaiḳh sāhab ko āfrīñ hī nahīñ
dasht-e-vahshat maze dikhā detā
kyā kaheñ jeb-o-āstīñ hī nahīñ
yā tirā sang-e-dar nahīñ zālim
yā mirī aaj ye jabīñ hī nahīñ
ḳhud use ai 'fahīm' kah dekho
gar mirī baat kā yaqīñ hī nahīñ
main kahun kya unhen yaqin hi nahin
wo kahe jate hain nahin hi nahin
ya koi aashiq is jahan mein nahin
ya koi aap sa hasin hi nahin
aap be-mehr bhi hain zalim bhi
mujh se suniye faqat hasin hi nahin
dekhega jaega jo jannat mein
aish zahid hamein yahin hi nahin
jis pe kanda ho naqsh ulfat ka
dil se behtar koi nagin hi nahin
aur kuchh kahiye is samajh pe unhen
shaiKH sahab ko aafrin hi nahin
dasht-e-wahshat maze dikha deta
kya kahen jeb-o-astin hi nahin
ya tera sang-e-dar nahin zalim
ya meri aaj ye jabin hi nahin
KHud use ai 'fahim' kah dekho
gar meri baat ka yaqin hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.