main kaise man lun achchha bura nahin hota
maiñ kaise maan luuñ achchhā burā nahīñ hotā
sabhī to hotā hai duniyā meñ kyā nahīñ hotā
kabhī kabhī mirī āñkhoñ ko yuuñ bhī lagtā hai
gulāb shāḳh pe jaise khilā nahīñ hotā
pahuñch hī jaatā maiñ luDo ke dūsre kone
ninānve pe jo tū ne Dasā nahīñ hotā
mujhe burāq na de thoḌā hausla de de
hamārī galiyoñ kā duujā sirā nahīñ hotā
pata chalā hai tire baa'd zindagī kar ke
kisī bhī shai kā asar der-pā nahīñ hotā
adā kare bhalā kaise ye nā-tavāñ insāñ
ye vāldain kā haq hai adā nahīñ hotā
bahār-rut meñ kabhī phuul jhaḌne lagte haiñ
kabhī-kabhār mizāj ek sā nahīñ hotā
ḳhudā kī baat karūñgā ḳhudā-e-mahshar se
hamāre jaisoñ kā jaise ḳhudā nahīñ hotā
main kaise man lun achchha bura nahin hota
sabhi to hota hai duniya mein kya nahin hota
kabhi kabhi meri aankhon ko yun bhi lagta hai
gulab shaKH pe jaise khila nahin hota
pahunch hi jata main luDo ke dusre kone
ninanwe pe jo tu ne Dasa nahin hota
mujhe buraq na de thoDa hausla de de
hamari galiyon ka duja sira nahin hota
pata chala hai tere ba'd zindagi kar ke
kisi bhi shai ka asar der-pa nahin hota
ada kare bhala kaise ye na-tawan insan
ye waldain ka haq hai ada nahin hota
bahaar-rut mein kabhi phul jhaDne lagte hain
kabhi-kabhaar mizaj ek sa nahin hota
KHuda ki baat karunga KHuda-e-mahshar se
hamare jaison ka jaise KHuda nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.