main karamat par nahin aaya
maiñ karāmāt par nahīñ aaya
vo mirī baat par nahīñ aaya
bad-gumānī bharā mirā siina
kabhī isbāt par nahīñ aaya
aa.ine kā javāb sun kar bhī
apnī auqāt par nahīñ aaya
maiñ tirī samt aane vaalā thā
chand shub.hāt par nahīñ aaya
shukr kar maiñ javāb detā rahā
ḳhud savālāt par nahīñ aaya
ek duniyā luTā ke aaya huuñ
jī maiñ ḳhairāt par nahīñ aaya
maiñ daroġha se roz pūchhtā huuñ
vo mulāqāt par nahīñ aaya
main karamat par nahin aaya
wo meri baat par nahin aaya
bad-gumani bhara mera sina
kabhi isbaat par nahin aaya
aaine ka jawab sun kar bhi
apni auqat par nahin aaya
main teri samt aane wala tha
chand shubhat par nahin aaya
shukr kar main jawab deta raha
KHud sawalat par nahin aaya
ek duniya luTa ke aaya hun
ji main KHairaat par nahin aaya
main darogha se roz puchhta hun
wo mulaqat par nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.