main KHak hun so yahi tajraba raha hai mujhe
maiñ ḳhaak huuñ so yahī tajraba rahā hai mujhe
vo shakl-e-nau ke liye rauñdtā rahā hai mujhe
use jo chāhiye maiñ huuñ usī ke jaisā koī
vo mere jaise kī zid meñ gañvā rahā hai mujhe
maiñ vo hī ḳhvāb-e-sahar jo fuzūl thā din-bhar
tavīl shab maiñ magar dekhā jā rahā hai mujhe
idhar ye fardā ḳhafā hai mire taġhāful se
udhar ḳhulūs se maazī bulā rahā hai mujhe
yahī nahīñ ki maiñ nā-mutma.in huuñ duniyā se
mirā vajūd bhī ik mas.ala rahā hai mujhe
main KHak hun so yahi tajraba raha hai mujhe
wo shakl-e-nau ke liye raundta raha hai mujhe
use jo chahiye main hun usi ke jaisa koi
wo mere jaise ki zid mein ganwa raha hai mujhe
main wo hi KHwab-e-sahar jo fuzul tha din-bhar
tawil shab main magar dekha ja raha hai mujhe
idhar ye farda KHafa hai mere taghaful se
udhar KHulus se mazi bula raha hai mujhe
yahi nahin ki main na-mutmain hun duniya se
mera wajud bhi ek masala raha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.