main KHud hi ishq mein majbur hun wafa ke liye
main KHud hi ishq mein majbur hun wafa ke liye
Rajendr Bahadur Mauj
MORE BYRajendr Bahadur Mauj
maiñ ḳhud hī ishq meñ majbūr huuñ vafā ke liye
ḳhudā kā vāsta mujh ko na de ḳhudā ke liye
na aam kar tū mazāq-e-jafā ḳhudā ke liye
ye dil bahut hai tire jaur-e-nā-ravā ke liye
thī nā-guzīr fanā ālam-e-baqā ke liye
ik intihā bhī zarūrī thī ibtidā ke liye
mujhe duāoñ se apnī nahīñ umīd-e-asar
magar hanūz maiñ āmāda huuñ duā ke liye
unhīñ ko maañg luuñ un se jo vo ijāzat deñ
maiñ intizār meñ huuñ izn-e-iltijā ke liye
majāz aur haqīqat haiñ sadd-e-rāh-e-jamāl
ye sab fareb haiñ chashm-e-haq-āshnā ke liye
shamīm-e-zulf tirī us ko mil ga.ī shāyad
sukūn aaj mayassar nahīñ sabā ke liye
chaman hai vo haiñ bahāreñ haiñ aur fursat hai
ab intizār hai ghanghor ik ghaTā ke liye
vafā kī koshisheñ fikr-e-visāl ranj-e-firāq
baḌe azaab haiñ ik jān-e-mubtalā ke liye
jahān-e-ishq mukammal nahīñ huā ab tak
makāñ ujaḌ ga.e lākhoñ isī binā ke liye
shikast-e-ahd ġham-e-hijr intizār-e-sahar
davā kahāñ hai mire dard-e-lā-davā ke liye
ye dil hai pahle bhī dil hī thā lekin ab ai dost
banā diyā ise patthar tirī jafā ke liye
ye zauq-e-sair mirā ye tabāhī-e-tūfāñ
maiñ ik vabāl huuñ ai 'mauj' nāḳhudā ke liye
main KHud hi ishq mein majbur hun wafa ke liye
KHuda ka wasta mujh ko na de KHuda ke liye
na aam kar tu mazaq-e-jafa KHuda ke liye
ye dil bahut hai tere jaur-e-na-rawa ke liye
thi na-guzir fana aalam-e-baqa ke liye
ek intiha bhi zaruri thi ibtida ke liye
mujhe duaon se apni nahin umid-e-asar
magar hanuz main aamada hun dua ke liye
unhin ko mang lun un se jo wo ijazat den
main intizar mein hun izn-e-iltija ke liye
majaz aur haqiqat hain sadd-e-rah-e-jamal
ye sab fareb hain chashm-e-haq-ashna ke liye
shamim-e-zulf teri us ko mil gai shayad
sukun aaj mayassar nahin saba ke liye
chaman hai wo hain bahaaren hain aur fursat hai
ab intizar hai ghanghor ek ghaTa ke liye
wafa ki koshishen fikr-e-visal ranj-e-firaq
baDe azab hain ek jaan-e-mubtala ke liye
jahan-e-ishq mukammal nahin hua ab tak
makan ujaD gae lakhon isi bina ke liye
shikast-e-ahd gham-e-hijr intizar-e-sahar
dawa kahan hai mere dard-e-la-dawa ke liye
ye dil hai pahle bhi dil hi tha lekin ab ai dost
bana diya ise patthar teri jafa ke liye
ye zauq-e-sair mera ye tabahi-e-tufan
main ek wabaal hun ai 'mauj' naKHuda ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.