main KHud ko ek nai duniya dikhane wala hun
maiñ ḳhud ko ik na.ī duniyā dikhāne vaalā huuñ
sū-e-sitāra-o-mahtāb jaane vaalā huuñ
koī farishta mire ghar meñ aane vaalā hai
maiñ farsh-e-rāh pe āñkheñ bichhāne vaalā huuñ
khaḌā huuñ dar pe tire daulat-e-ziyāñ le kar
nikal ke dekh ḳhazāne luTāne vaalā huuñ
tirī bhī aañkh meñ dekhūñgā jū-e-ashk-e-ravāñ
tujhe bhī shahr kā nauha sunāne vaalā huuñ
agar tū Tālne vaalā hai apne vā'de ko
to vā'da kar ke bhalā maiñ kab aane vaalā huuñ
lahū meñ Dūbne vaale haiñ bām-o-dar mere
maiñ teġh-o-sar kī rivāyat bachāne vaalā huuñ
karūñgā ḳhushk zamīñ ko shagufta-o-shādāb
qarīb-e-ḳhema-e-gul nahr laane vaalā huuñ
main KHud ko ek nai duniya dikhane wala hun
su-e-sitara-o-mahtab jaane wala hun
koi farishta mere ghar mein aane wala hai
main farsh-e-rah pe aankhen bichhane wala hun
khaDa hun dar pe tere daulat-e-ziyan le kar
nikal ke dekh KHazane luTane wala hun
teri bhi aankh mein dekhunga ju-e-ashk-e-rawan
tujhe bhi shahr ka nauha sunane wala hun
agar tu Talne wala hai apne wa'de ko
to wa'da kar ke bhala main kab aane wala hun
lahu mein Dubne wale hain baam-o-dar mere
main tegh-o-sar ki riwayat bachane wala hun
karunga KHushk zamin ko shagufta-o-shadab
qarib-e-KHema-e-gul nahr lane wala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.