main KHud saqi hun apna mere pahlu mein hai paimana
maiñ ḳhud saaqī huuñ apnā mere pahlū meñ hai paimāna
vo paimāna ki ḳhud miinā bhī hai aur ḳhud hī mai-ḳhāna
agar sham-e-haqīqat kī ziyā-bārī nahīñ har-sū
taḳhayyul ko kahāñ se aa ga.e ādāb-e-parvāna
par-e-parvāz baḳhshe mujh ko mere ishq-o-mastī ne
haqīqat se jabhī dilchasp-tar hai merā afsāna
maqām-e-haif-o-hairat hai ki us ko hī masal Daalā
numū sidra kī apne siine meñ rakhtā thā jo daana
vahī is bazm-e-hastī se surūr-andoz hote haiñ
nigāheñ jin kī hoñ bebāk aur atvār mardāna
mujhe ahl-e-nazar kī aañkh hī pahchān saktī hai
ki sūrat to hai rindāna magar sīrat hakīmāna
'amīñ' hai daad ke qābil vasī'-ul-mashrabī merī
ki farzānoñ meñ farzāna huuñ dīvānoñ meñ dīvāna
main KHud saqi hun apna mere pahlu mein hai paimana
wo paimana ki KHud mina bhi hai aur KHud hi mai-KHana
agar sham-e-haqiqat ki ziya-bari nahin har-su
taKHayyul ko kahan se aa gae aadab-e-parwana
par-e-parwaz baKHshe mujh ko mere ishq-o-masti ne
haqiqat se jabhi dilchasp-tar hai mera afsana
maqam-e-haif-o-hairat hai ki us ko hi masal Dala
numu sidra ki apne sine mein rakhta tha jo dana
wahi is bazm-e-hasti se surur-andoz hote hain
nigahen jin ki hon bebak aur atwar mardana
mujhe ahl-e-nazar ki aankh hi pahchan sakti hai
ki surat to hai rindana magar sirat hakimana
'amin' hai dad ke qabil wasi'-ul-mashrabi meri
ki farzanon mein farzana hun diwanon mein diwana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.