main KHud se KHak-bazi kar raha hun
maiñ ḳhud se ḳhāk-bāzī kar rahā huuñ
maiñ miTTī phir se miTTī kar rahā huuñ
ye kār-e-be-ma.ānī kar rahā huuñ
maiñ ab bhī zindagānī kar rahā huuñ
daraḳht-e-zard huuñ maiñ ishq-rut kā
ayaañ ik bad-nizāmī kar rahā huuñ
maiñ us ke saath huuñ par ḳhush nahīñ huuñ
mujhe lagtā hai ġhalatī kar rahā huuñ
ġhazal-ḳhvānī na kar ke ro paḌūñ to
maiñ zaa.e.a ye udāsī kar rahā huuñ
ye duniyā ḳhatm hotī jā rahī hai
maiñ baiThā sher-sāzī kar rahā huuñ
main KHud se KHak-bazi kar raha hun
main miTTi phir se miTTi kar raha hun
ye kar-e-be-maani kar raha hun
main ab bhi zindagani kar raha hun
daraKHt-e-zard hun main ishq-rut ka
ayan ek bad-nizami kar raha hun
main us ke sath hun par KHush nahin hun
mujhe lagta hai ghalati kar raha hun
ghazal-KHwani na kar ke ro paDun to
main zaea ye udasi kar raha hun
ye duniya KHatm hoti ja rahi hai
main baiTha sher-sazi kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.