main KHush bahut hun mujhko faqiri jo ras hai
maiñ ḳhush bahut huuñ mujh ko faqīrī jo raas hai
varna amīr-e-shahr bahut bad-havās hai
kitnī azīm-tar mire hoñToñ kī pyaas hai
jo lafz hai tarā.ī kā ab us ke paas hai
kis ne gulāb rang shafaq meñ milā diyā
har phuul ke badan pe sunahrī libās hai
kuchh is liye safar pe safar kar rahā huuñ maiñ
nā-āshnā hayāt ko kuchh mujh se aas hai
achchhā to ye thā kuchh bhī na hotā safar meñ saath
thak is liye gayā huuñ ki sāmān paas hai
āñkhoñ kī niiñd se bhī subuk-dosh kar gayā
tanhā.iyoñ meñ kaun mirā ġham-shanās hai
ik kashmakash sī rahtī hai sach aur fareb meñ
vo duur hai zarūr magar ās-pās hai
bāñdhā huā hai ḳhud ko sabhī ne hisār meñ
ġham bāñTne kā vaqt yahāñ kis ke paas hai
kal jo samajh ke chhoḌ gayā thā shikasta-pā
manzil pe aaj dekh ke mujh ko udaas hai
ab tak kī zindagī meñ to samjhā hai bas yahī
duniyā hai ik fareb-e-nazar ik qayās hai
'nāshir' kisī se kartā nahīñ hai shikāyateñ
shāyad yahī sabab hai zabāñ meñ miThās hai
main KHush bahut hun mujh ko faqiri jo ras hai
warna amir-e-shahr bahut bad-hawas hai
kitni azim-tar mere honTon ki pyas hai
jo lafz hai tarai ka ab us ke pas hai
kis ne gulab rang shafaq mein mila diya
har phul ke badan pe sunahri libas hai
kuchh is liye safar pe safar kar raha hun main
na-ashna hayat ko kuchh mujh se aas hai
achchha to ye tha kuchh bhi na hota safar mein sath
thak is liye gaya hun ki saman pas hai
aankhon ki nind se bhi subuk-dosh kar gaya
tanhaiyon mein kaun mera gham-shanas hai
ek kashmakash si rahti hai sach aur fareb mein
wo dur hai zarur magar aas-pas hai
bandha hua hai KHud ko sabhi ne hisar mein
gham banTne ka waqt yahan kis ke pas hai
kal jo samajh ke chhoD gaya tha shikasta-pa
manzil pe aaj dekh ke mujh ko udas hai
ab tak ki zindagi mein to samjha hai bas yahi
duniya hai ek fareb-e-nazar ek qayas hai
'nashir' kisi se karta nahin hai shikayaten
shayad yahi sabab hai zaban mein miThas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.