main KHush hun aur ye duniya dukhi hai
maiñ ḳhush huuñ aur ye duniyā dukhī hai
mujhe is baat par sharmindagī hai
tumhāre sāmne raste khule haiñ
hamāre sāmne andhī galī hai
mirā bistar bhī āḳhir pūchh baiThā
tumhārī niiñd se kyā dushmanī hai
hameñ bhī aur kuchh kahnā nahīñ hai
use jaane kī bhī jaldī baḌī hai
samundar is liye mujh se ḳhafā haiñ
mirī ik jal-parī se dostī hai
main KHush hun aur ye duniya dukhi hai
mujhe is baat par sharmindagi hai
tumhaare samne raste khule hain
hamare samne andhi gali hai
mera bistar bhi aaKHir puchh baiTha
tumhaari nind se kya dushmani hai
hamein bhi aur kuchh kahna nahin hai
use jaane ki bhi jaldi baDi hai
samundar is liye mujh se KHafa hain
meri ek jal-pari se dosti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.