main KHushamad ke saeban mein tha
maiñ ḳhushāmad ke sā.ebān meñ thā
ek nā-āshnā amaan meñ thā
vo havāoñ ke jaal buntā rahā
aur maiñ bhī kisī uḌaan meñ thā
lafz-o-ma.anī meñ kyoñ ulajhte ho
ye to socho vo kis ke dhyān meñ thā
tujh se bachhḌā magar yaqīñ na kiyā
ye agarche mire gumān meñ thā
ḳhauf-e-dīvār-o-dar meñ paltā rahā
maiñ vo be-ghar thā jo makān meñ thā
ham-nashīñ ġham-zada hue 'manzar'
soz aisā tire bayān meñ thā
main KHushamad ke saeban mein tha
ek na-ashna aman mein tha
wo hawaon ke jal bunta raha
aur main bhi kisi uDan mein tha
lafz-o-mani mein kyon ulajhte ho
ye to socho wo kis ke dhyan mein tha
tujh se bachhDa magar yaqin na kiya
ye agarche mere guman mein tha
KHauf-e-diwar-o-dar mein palta raha
main wo be-ghar tha jo makan mein tha
ham-nashin gham-zada hue 'manzar'
soz aisa tere bayan mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.