main KHushk phul hun mujh mein nami talash na kar
maiñ ḳhushk phuul huuñ mujh meñ namī talāsh na kar
ḳhizāñ kī zad meñ huuñ bālīdgī talāsh na kar
ġhamoñ ke shahr meñ koī ḳhushī talāsh na kar
hujūm-e-dard meñ āsūdgī talāsh na kar
matā'-e-mehr-o-mohabbat luTā rahe haiñ ham
hamāre baa'd kahīñ dilbarī talāsh na kar
sivā.e soz-e-darūñ aur kuchh nahīñ rakhtā
kisī ġharīb ke ruḳh par ḳhushī talāsh na kar
hai hādsāt kā māhaul dahr meñ 'mohsin'
'ajīb daur hai tū zindagī talāsh na kar
main KHushk phul hun mujh mein nami talash na kar
KHizan ki zad mein hun baalidgi talash na kar
ghamon ke shahr mein koi KHushi talash na kar
hujum-e-dard mein aasudgi talash na kar
mata'-e-mehr-o-mohabbat luTa rahe hain hum
hamare ba'd kahin dilbari talash na kar
siwae soz-e-darun aur kuchh nahin rakhta
kisi gharib ke ruKH par KHushi talash na kar
hai hadsat ka mahaul dahr mein 'mohsin'
'ajib daur hai tu zindagi talash na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.