main KHub bhiga hun barish ki apsaraon mein
maiñ ḳhuub bhīgā huuñ bārish kī apsarāoñ meñ
tamām raat jalegā badan chitāoñ meñ
use ġhamoñ kī maiñ sauġhāt de ke aaya huuñ
mujhe talāsh karegā vo devtāoñ meñ
ab āftāb mire sāth-sāth chaltā hai
mire buzurg mujhe rakh ga.e du'āoñ meñ
maiñ shahr jā.ūñgā lekin udaas lauTūñgā
ḳhulūs pyaar mohabbat vafā hai gaaoñ meñ
kaTī patang to āñkhoñ ke ḳhvāb jaag uThe
ye kis ne chhoḌ diyā likh ke ḳhat havāoñ meñ
sunā hai chāñd bahut der tak udaas rahā
kisī ne Daal dī pāzeb shab ke paaoñ meñ
maiñ apne siine pe ik naam likh ke soyā thā
mujhe farishte uḌā le ga.e ḳhalāoñ meñ
main KHub bhiga hun barish ki apsaraon mein
tamam raat jalega badan chitaon mein
use ghamon ki main saughat de ke aaya hun
mujhe talash karega wo dewtaon mein
ab aaftab mere sath-sath chalta hai
mere buzurg mujhe rakh gae du'aon mein
main shahr jaunga lekin udas lauTunga
KHulus pyar mohabbat wafa hai gaon mein
kaTi patang to aankhon ke KHwab jag uThe
ye kis ne chhoD diya likh ke KHat hawaon mein
suna hai chand bahut der tak udas raha
kisi ne Dal di pazeb shab ke paon mein
main apne sine pe ek nam likh ke soya tha
mujhe farishte uDa le gae KHalaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.