main KHun ke rishton mein chubhan dekh raha hun
maiñ ḳhuun ke rishtoñ meñ chubhan dekh rahā huuñ
TuuTā huā māñ-bāp kā man dekh rahā huuñ
lagtā hai bahāreñ mujhe bhūlī hī nahīñ haiñ
maiñ ḳhvāb meñ muddat se chaman dekh rahā huuñ
ākāsh zamīñ asl meñ milte hī nahīñ haiñ
lekin maiñ sadā se ye milan dekh rahā huuñ
dil kī to kabhī 'aql samajhtī nahīñ bāteñ
donoñ kā alag chāl-chalan dekh rahā huuñ
chhalne ke liye roz banāte haiñ na.e dost
kyā ḳhuub maiñ logoñ meñ ye fan dekh raah huuñ
kuchh logoñ ne 'hashmat' mirā sammān kiyā hai
maiñ vaqt ke māthe pe shikan dekh rahā huuñ
main KHun ke rishton mein chubhan dekh raha hun
TuTa hua man-bap ka man dekh raha hun
lagta hai bahaaren mujhe bhuli hi nahin hain
main KHwab mein muddat se chaman dekh raha hun
aakash zamin asl mein milte hi nahin hain
lekin main sada se ye milan dekh raha hun
dil ki to kabhi 'aql samajhti nahin baaten
donon ka alag chaal-chalan dekh raha hun
chhalne ke liye roz banate hain nae dost
kya KHub main logon mein ye fan dekh rah hun
kuchh logon ne 'hashmat' mera samman kiya hai
main waqt ke mathe pe shikan dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.