main KHwab-gah-e-zat ke andar nahin rahta
maiñ ḳhvāb-gah-e-zāt ke andar nahīñ rahtā
insān huuñ māhaul se kaT kar nahīñ rahtā
mil jaatī hai malbe se kisī naam kī taḳhtī
dastār to rahtī hai magar sar nahīñ rahtā
vo phuul hai gulchīñ kī rasā.ī nahīñ us tak
aahū hai magar tiir kī zad par nahīñ rahtā
us vaqt satātī hai hameñ niiñd kī devī
jab ek sitāra bhī falak par nahīñ rahtā
asbāb-e-safar le ke nikalte nahīñ ghar se
is vāste luTne kā hameñ Dar nahīñ rahtā
har shaḳhs kī bātoñ se ye andāza huā hai
is shahr meñ koī bhī qad-āvar nahīñ rahtā
kashtī kā safar achchhā lagā hai mujhe 'nāsir'
ab pesh-e-nazar ek hī manzar nahīñ rahtā
main KHwab-gah-e-zat ke andar nahin rahta
insan hun mahaul se kaT kar nahin rahta
mil jati hai malbe se kisi nam ki taKHti
dastar to rahti hai magar sar nahin rahta
wo phul hai gulchin ki rasai nahin us tak
aahu hai magar tir ki zad par nahin rahta
us waqt satati hai hamein nind ki dewi
jab ek sitara bhi falak par nahin rahta
asbab-e-safar le ke nikalte nahin ghar se
is waste luTne ka hamein Dar nahin rahta
har shaKHs ki baaton se ye andaza hua hai
is shahr mein koi bhi qad-awar nahin rahta
kashti ka safar achchha laga hai mujhe 'nasir'
ab pesh-e-nazar ek hi manzar nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.