main KHwab mein tha ek aawaz ne kaha yahu
maiñ ḳhvāb meñ thā ik āvāz ne kahā yaahū
phir us ke baa'd har ik samt bas sunā yaahū
hai ik nigāh-e-qalandar kā lutf-e-ḳhās ki maiñ
baġhair ḳhirqa-o-kashkol kah uThā yaahū
ye ittifāq na thā bāz-āmad-e-shab-e-hijr
ishāra thā ki hai phir dil meñ gūñjtā yaahū
bas ek sho’la-e-parrāñ nazar se guzrā aur
ragoñ meñ ḳhuuñ kī jagah dauḌne lagā yaahū
maiñ dekhtā thā fazā meñ bikhartā illallāh
maiñ jāntā thā yahī lā-ilāha thā yaahū
main KHwab mein tha ek aawaz ne kaha yahu
phir us ke ba'd har ek samt bas suna yahu
hai ek nigah-e-qalandar ka lutf-e-KHas ki main
baghair KHirqa-o-kashkol kah uTha yahu
ye ittifaq na tha baz-amad-e-shab-e-hijr
ishaara tha ki hai phir dil mein gunjta yahu
bas ek sho’la-e-parran nazar se guzra aur
ragon mein KHun ki jagah dauDne laga yahu
main dekhta tha faza mein bikharta illallah
main jaanta tha yahi la-ilaha tha yahu
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 50)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.