main ki gham ki aag mein Dub kar sanwar gaya
maiñ ki ġham kī aag meñ Duub kar sañvar gayā
aur har gurez-pā apnī maut mar gayā
aap muzmahil na hoñ dil kī vārdāt par
phuul thā jhulas gayā rañg thā bikhar gayā
mujh se kyā zavāl kī munāsibat ki dosto
din Dhale to aur bhī ġham mirā nikhar gayā
un ko chhū liyā nigāh ne to ye lagā mujhe
jaise koī ruuh meñ duur tak utar gayā
chehra-e-hatyāt ko dekh kar lahū lahū
aaj to maiñ apne hī dostoñ se Dar gayā
main ki gham ki aag mein Dub kar sanwar gaya
aur har gurez-pa apni maut mar gaya
aap muzmahil na hon dil ki wardat par
phul tha jhulas gaya rang tha bikhar gaya
mujh se kya zawal ki munasibat ki dosto
din Dhale to aur bhi gham mera nikhar gaya
un ko chhu liya nigah ne to ye laga mujhe
jaise koi ruh mein dur tak utar gaya
chehra-e-hatyat ko dekh kar lahu lahu
aaj to main apne hi doston se Dar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.