main ki subh-e-gham ka malal bhi nahin kar saka
maiñ ki sub.h-e-ġham kā malāl bhī nahīñ kar sakā
tire baa'd ḳhud kā ḳhayāl bhī nahīñ kar sakā
thā 'urūj mujh ko visāl-rut meñ bahār kī
tire hijr se maiñ savāl bhī nahīñ kar sakā
jo bikhar gayā dil-e-nā-tavāñ ke ḳhayāl meñ
use yakjā terā visāl bhī nahīñ kar sakā
tire hukm par huā sar qalam mirā dostā
so maiñ tujh ko vāqif-e-hāl bhī nahīñ kar sakā
huā muntashir tujhe soch soch ke is liye
maiñ 'nadīm' ḳhud ko nidhāl bhī nahīñ kar sakā
main ki subh-e-gham ka malal bhi nahin kar saka
tere ba'd KHud ka KHayal bhi nahin kar saka
tha 'uruj mujh ko visal-rut mein bahaar ki
tere hijr se main sawal bhi nahin kar saka
jo bikhar gaya dil-e-na-tawan ke KHayal mein
use yakja tera visal bhi nahin kar saka
tere hukm par hua sar qalam mera dosta
so main tujh ko waqif-e-haal bhi nahin kar saka
hua muntashir tujhe soch soch ke is liye
main 'nadim' KHud ko nidhaal bhi nahin kar saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.