main kis se ja ke kahun apne iztirab ka haal
maiñ kis se jā ke kahūñ apne iztirāb kā haal
yahāñ koī bhī sukūñ-āshnā nahīñ miltā
ḳhalish jigar kī taḌap dil kī soz āñkhoñ kā
maiñ kyā batā.ūñ mohabbat meñ kyā nahīñ miltā
chaman meñ lāla-o-gul hoñ ki āsmāñ pe nujūm
koī bhī naqsh yahāñ der-pā nahīñ miltā
ḳhud apnī ābla-pā.ī kā ho na kyoñ mamnūn
vo rāh-rau ki jise rahnumā nahīñ miltā
main kis se ja ke kahun apne iztirab ka haal
yahan koi bhi sukun-ashna nahin milta
KHalish jigar ki taDap dil ki soz aankhon ka
main kya bataun mohabbat mein kya nahin milta
chaman mein lala-o-gul hon ki aasman pe nujum
koi bhi naqsh yahan der-pa nahin milta
KHud apni aabla-pai ka ho na kyon mamnun
wo rah-rau ki jise rahnuma nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.