main kis waraq ko chhupaun dikhaun kaun sa bab
maiñ kis varaq ko chhupā.ūñ dikhā.ūñ kaun sā baab
kisī habīb ne māñgī hai zindagī kī kitāb
hameñ na bhūlnā ālām-e-sad-zamāñ ki yahāñ
hamīñ haiñ maskan-e-hirmāñ hamīñ haiñ bait-e-azāb
inhī se shab meñ ujālā inhī se nūr-e-ḳhayāl
mire liye to bahut kuchh haiñ dīda-e-be-ḳhvāb
gayā thā dasht se uTh kar samundaroñ kī taraf
vahāñ bhī tishna-nasībī vahāñ bhī marg-e-sarāb
pakaḌ ke dāman-e-dil yā jhukā ke sar apnā
diyā hai ḳhvāb-e-shikasta kā har kisī ko hisāb
mire kalām kī tafsīr ke liye paḌhiye
jamāl-e-fikr kī aayat navā-e-jāñ kī kitāb
vo āñkheñ pyaar ke lahje meñ kah rahī thiiñ 'hasan'
hamīñ se maañg piyāla hamīñ se maañg sharāb
havā bahār ke mausam meñ yuuñ chalī ki 'na.īm'
na surḳh-rū thā gulistāñ na surḳh-rū the gulāb
main kis waraq ko chhupaun dikhaun kaun sa bab
kisi habib ne mangi hai zindagi ki kitab
hamein na bhulna aalam-e-sad-zaman ki yahan
hamin hain maskan-e-hirman hamin hain bait-e-azab
inhi se shab mein ujala inhi se nur-e-KHayal
mere liye to bahut kuchh hain dida-e-be-KHwab
gaya tha dasht se uTh kar samundaron ki taraf
wahan bhi tishna-nasibi wahan bhi marg-e-sarab
pakaD ke daman-e-dil ya jhuka ke sar apna
diya hai KHwab-e-shikasta ka har kisi ko hisab
mere kalam ki tafsir ke liye paDhiye
jamal-e-fikr ki aayat nawa-e-jaan ki kitab
wo aankhen pyar ke lahje mein kah rahi thin 'hasan'
hamin se mang piyala hamin se mang sharab
hawa bahaar ke mausam mein yun chali ki 'naim'
na surKH-ru tha gulistan na surKH-ru the gulab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.