main kise apne siwa gardanne walon mein tha
maiñ kise apne sivā gardānñe vāloñ meñ thā
zikr merā ā.inoñ ke Dhālne vāloñ meñ thā
kab talak kartā safar maiñ tez āñdhī ke ḳhilāf
sab havā ke ruḳh pe the maiñ hārne vāloñ meñ thā
jis ko ham ne Tuut kar chāhā thā saarī zindagī
ham ko ġhairoñ kī tarah vo mānñe vāloñ meñ thā
kāġhazī hī pairahan the sab ke jismoñ par magar
koī an-jānā sā lamha kāTne vāloñ meñ thā
jāntā huuñ vo bhī thā haq-āshnā merī tarah
merī bātoñ kā burā kab mānñe vāloñ meñ thā
jagmagātā kyoñ na āḳhir in añdheroñ kā nasīb
maiñ ki sūraj thā ujālā bāñTne vāloñ meñ thā
ham hī apne aap ke dushman hue jaate haiñ kyoñ
dushman-e-jāñ jab hamāre chāhne vāloñ meñ thā
be-ruḳhī un kī thī merī garm-joshī kā sila
maiñ to un ko apne jaisā mānñe vāloñ meñ thā
qaid se gahre sarāboñ kī nikal aayā 'nazar'
ḳhaak pyāse dasht kī maiñ chhānne vāloñ meñ thā
main kise apne siwa gardanne walon mein tha
zikr mera aainon ke Dhaalne walon mein tha
kab talak karta safar main tez aandhi ke KHilaf
sab hawa ke ruKH pe the main haarne walon mein tha
jis ko hum ne Tut kar chaha tha sari zindagi
hum ko ghairon ki tarah wo manne walon mein tha
kaghazi hi pairahan the sab ke jismon par magar
koi an-jaana sa lamha kaTne walon mein tha
jaanta hun wo bhi tha haq-ashna meri tarah
meri baaton ka bura kab manne walon mein tha
jagmagata kyon na aaKHir in andheron ka nasib
main ki suraj tha ujala banTne walon mein tha
hum hi apne aap ke dushman hue jate hain kyon
dushman-e-jaan jab hamare chahne walon mein tha
be-ruKHi un ki thi meri garm-joshi ka sila
main to un ko apne jaisa manne walon mein tha
qaid se gahre sarabon ki nikal aaya 'nazar'
KHak pyase dasht ki main chhanne walon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.