main kisi ka bura chahta hi nahin
maiñ kisī kā burā chāhtā hī nahīñ
chāhnā chhoḌiye sochtā hī nahīñ
ḳhvāb-hā-ḳhvāb jo mujh se miltā rahā
yaar maiñ to use jāntā hī nahīñ
DhūñDhte DhūñDhte thak chukā yaar maiñ
ab ḳhushī ko kahīñ DhūñDhtā hī nahīñ
haiñ bahut se bhale log yaañ pe magar
koī merā bhalā chāhtā hī nahīñ
is sadāqat se sab log mahrūm haiñ
be-sabab maiñ kabhī boltā hī nahīñ
koī āh-o-fuġhāñ se hai mahrūm aur
koī bazm-e-tarab dekhtā hī nahīñ
main kisi ka bura chahta hi nahin
chahna chhoDiye sochta hi nahin
KHwab-ha-KHwab jo mujh se milta raha
yar main to use jaanta hi nahin
DhunDhte DhunDhte thak chuka yar main
ab KHushi ko kahin DhunDhta hi nahin
hain bahut se bhale log yan pe magar
koi mera bhala chahta hi nahin
is sadaqat se sab log mahrum hain
be-sabab main kabhi bolta hi nahin
koi aah-o-fughan se hai mahrum aur
koi bazm-e-tarab dekhta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.